Tuesday, December 30, 2008

Filled Under:

Shayri - 9

Sabhi ko sabhi kuch nahi milta.. 
nadi ki har lehar ko sahil nahi milta, 

yeh dilwalo ki duniya hai ajeeb, 
kisi se dil nahi milta to koi dilse nahi milta...

=========================


Aapko bhool jaun, umar gujarne ki baat hai, 
aapko nahi yakin ye aur baat hai , 

jabtak rahegi saans tab tak rahoge yaad,
ye saans tut jaye to aur baat hai.

=============================




Jaane kya Mujhse zamana chahta hai , 
mere dil tod kar mujhe hasana chahta hai ,

jaane kya baat jhalakti he mere chehre se,
har saks mujhe aazmana chahta hai.

=============================


Zindagi bhaut kuch sikhati hai , 
kabhi hasati he..kabhi rulati hai ,

kudh se jayada kisipe bharosa maat karna , 
andhere me to parchai bhi saath chor jati hai..

==============================

Mehfil na sahi tanhai to milti hai...
Milan na sahi judai to milti hai...

Kaun kehta hai mohabbat mein kuch nahi milta...
Wafa na sahi bewafai to milti hai...

=============================

 
Gujare the jo lamhe tere sath,
Talash unhe yeh nazar bar bar karti hai,
Gum nahi jo kismat ne juda kar diya,
Teri judai bhi to hamse pyar karti hai.

===========================

 
Usko chaha bhi to izhaar karna na aaya,
Kat gayi umr saari hamein pyar karna na aaya.

Usne manga bhi agar kuch to judai mangi,
Aur hamein inkar karna bhi na aaya!

=============================
 

Ik zara si bhool khata ban gayi,
Meri vafai hi meri saza ban gai,
Dil liya aur khel kar tod diya,
Hamari jaan gai unki adaa ban gai.

 
============================

0 comments: