Thursday, November 1, 2007

Filled Under:

santa banta - 5

What"s Ford?
Santa: Gaadi.
What"s Oxford?
Santa: So simple, Bail Gaadi.

==================================================

Masterji: kal school kyu nahi aaya.
Santa: Gir gaya tha or lag gayi.
Masterji: kahan gire, kahan lagi?
Santa: Takiye pe gira tha aur AANKH lag gayi..

==================================================

Preeto: Raat ko aap peeke gutter mein gir gaye the.
Banta: Kya bataoon, sub galat sangati ka asar hai,
hum 4 dost... 1 bottle, aur woh teeno kambhakt peeten nahin.

==================================================


Banta ek sadhu se bola: Baba, meri biwi bahut pareshan karti hai,
koi upay batao.
Sadhu: Beta, upaay hota to main sadhu kyun banta?

===================================================

Santa: "Kitna padhey likhe(qualified) ho?"
Banta: "B.A."
Santa: "Saala, 2 akshar padha, woh bhi ulta?"

===================================================

Lady doctor: tum roz subah clinic ke bahar khade ho kar aurto ko kyon ghurte ho?

Santa: ji aap hi ne bahar likha hai "aurton ko dekhne ka samay subah 10 se 12".

0 comments: